Sunday, July 30, 2006

26. auzaar kitne par hathyaar pe nazar ruke

1.

auzaar kitne par hathyaar pe nazar ruke
karo taareef qahar ki to kab qahar ruke

(auzaar=tools, implements, hathyaar=weapons, taareef=praise, qahar=devastation)

2.

aksar koi wajah naheeN ho jang jab chiDe
aksar koi fatah naheeN ho jang gar ruke

(wajah=reason, fatah=victory)

3.

golaabaari se halaakateN hueeN so hueeN
kai saal beeteN ke baarood ka asar ruke

(halaakateN=killings, golaa-baari=weapons fire, baarood=gunpowder)

4.

bikaa ek ko to KHauff se sab KHareedeN
hathyaaroN meN tijaarat kab jaakar ruke

(tijaarat=business)

5.

'shaahid' maiN harkat ka naa-samaJH naheeN
par chaahooN ke raSHk kuCHCH bheetar ruke

(harkat=action, raSHk=malice/vendetta)

Saturday, July 22, 2006

25. haaN, meree kabhee unse baat thee

1.

haaN, meree kabhee unse baat thee
ab bhee rahtee to kuCHCH baat thee

2.

anjaane meN hueeN KHataayeN mujhse
warnaa aisee bhee kyaa baat thee

(KHataa=mistake)

3.

jis baat se haiN woh KHafaa mujhse
woh naa jaane kab ki baat thee

(KHafaa=sad)

4.

unkee baatoN se maiN samJHaa naheeN
ke hamaare beeCH kuCHCH baat thee

5.

woh din gaye ke 'shaahid' unkee
har baat pe apnee ik baat thee

Thursday, July 20, 2006

24

1.

yooN to shiddat ke zimmedaar DHooNDtaa hooN
dar-asl apne raSHk ko qaraar DHooNDtaa hooN

(shiddat=violence, zimmedaar=responsible, dar-asl=in reality, raSHk=anger/malice, qaraar=satisfaction)

2.

kabhee samJHooN ke badlaa hai laayaq jawaab
kabhee daur-e-aman ke aasaar DHooNDtaa hooN

(badlaa=revenge, laayaq=appropriate, daur-e-aman=times of peace, aasaar=signs/symbols)

3.

yahaaN ke logoN ko to intiqaam se matlab
jahaaN par koi GHam-gusaar DHooNDtaa hooN

(intiqaam=revenge, GHam-gusaar=someone who can console)

4.

meraa pur-ashq CHehraa CHHapteN haiN sabhee
meraa dard samJHe woh aKHbaar DHooNDtaa hooN

(pur-ashq=tearful, aKHbaar=newspaper)

5.

kabhee soCHtaa hooN 'shaahid' hal milne ko hai
kabhee soCHtaa hooN ke bekaar DHooNDtaa hooN

(hal=solution, bekaar=unnecessary)

Sunday, July 16, 2006

23

1.

yahaaN naheeN to kahaaN ho BHalaa
lauT aao ke kuCHCH meraa ho BHalaa

2.

tere dostoN ko waHSHat hai naseeb
koi ajnabee kyaa akelaa ho BHalaa

(waHSHat=loneliness)

3.

abhee haal teree galee se guzare
warnaa kab ye KHataa ho BHalaa

(abhee haal='haal hee', recently , KHataa=mistake)

4.

tere KHwaab woh ke aaNKH lagee rahe
teree yaad ke kab saveraa ho BHalaa

(KHwaab=dream, 'aaNKH lagee rahe'=phrase for 'sound sleep')

5.

kabhee to shahar cHHoDoge, ke 'shaahid'
tab dil meN kiskaa baseraa ho BHalaa

(baseraa=place of residence)

Friday, July 07, 2006

22

1.

kam-jamaal logoN ko ye daur apnaane se rahaa
yeh aadat ahl-e-dahar ko ik zamaane se rahaa

(kam-jamaal=not handsome, daur=era, aadat=habit, ahl-e-dahar=people of the times, zamaane=ages)

2.

jahaaN meN beshtar waaldain kuCHCH yuN nikle
ke bad-soorat aulaad to pyaar paane se rahaa

(beshtar=majority, waaldain=plural of 'waalid' i.e. parents, bad-soorat=not handsome, aulaad=issue)

3.

shaayar bhee mulawwij yahaaN baraabar ke
suKHan maah-chehroN se baaz aane se rahaa

(mulawwij=involved, implicated, baraabar=equally, suKHan=writing/speech, maah-chehroN=moonlike faces)

4.

kaalee-CHamDee waaloN pe baad aaeeN-e-nau ke
zulm kam huaa aur zaalim THikaane se rahaa

(aaeeN-e-nau=new Constitution, kaalee-CHamDee=black-skinned, zulm=atrocity, zaalim=villian, THikaane=places)

5.

apne log 'shaahid' CHamDee deKHte aur-to-aur
ism-e-aaKHir pooCHte jo maiN bataane se rahaa

(aur-to-aur=in addition, ism-e-aaKHir=surname)

Sunday, July 02, 2006

4

1.
jaataa naheeN hooN Tehelne ab kisi din sheher ko
bitaataa hooN saayaa-e-gul meN apne har peher ko

(saayaa-e-gul=lit. 'shade of the garden')

2.
hooN fidaa kisee KHursheed-chehre pe to kyaa huaa
bardaasht kare kaun uss KHursheed ke keher ko

(KHursheed-chehraa=face like the sun, keher=catastrophe)

3.
hai aab-o-havaa to mailee insaaN ke saaNs se
le letaa hooN chand saaNs apnee jald seher ko

(aab-o-havaa=environment, seher=morning)

4.
yaqeenan the shaayar tamaam baashinde sheher ke
jo likhte GHam-GHeen GHazaleN peekar is zeher ko

(tamaam=all, baashinde=residents, GHam-GHeen=mournful)

5.
raKH fizaa sar-sabz ke 'shaahid' aaKHirat meN
ho hairat tujhe kuch kam muqaabil ahl-e-deher ko

(sar-sabz=evergreen, aaKHirat=day of judgement, hairat=surprise, muqaabil=as against, ahl-e-deher=people of the times)

5

1.
hasad se jo dekh zaahid ke kaamyaabi ko
asar-e-duaa jaan apnee har KHaraabi ko

(hasad=envy, zaahid=religious conformist, asar-e-duaa=answering of prayers)

2.
yeh zid ke sab ko ho qubuul falsafaa teraa
CHooT de dee magar un aariz-e-gulaabi ko

(falsafaa=philosophy, aariz-e-gulaabi=rosy cheeks)

3.
na jaa ilm pe, yeh zariya mehez amal ka
DHoonDegaa taalaa jo jaan aham chaabi ko

4.
shikwaa tujhe ke ibaadat ko fursat naheeN
bataa milee pur-amn fizaa kis sahaabi ko ?

(ibaadat=prayer, fursat=free time, pur-amn=peaceful, sahaabi=historical Islamic characters)

5.
ik tuu ke 'shaahid' quwwat kaa koi ilm naheeN
warnaa tere rab ki tasleem hai har sharaabi ko

(quwwat=strength, tasleem=acceptance)

7

1.
kab usne hai chayn paayaa
jo chayn DHuuNDtaa aayaa

2.
kare doosroN pe reham kyaa
jab khud pe reham na aayaa

(reham=mercy)

3.
haqeeqat se jo kuCHCH na milaa
to sapnoN kaa sej sajaayaa

4.
jooN hi raah meN diKHe raqeeb
ruKH kaheeN aur kaa apnaayaa

(raqeeb=opponents)

5.
chaal tez 'shaahid' ki to kyaa
har kadam pe hai Dag-magaayaa

8

1.
huwe shuru rawaayaat-e-KHutoot ko zamaane huwe
qaasid-o-naamabar, kaGHaz-kalam lek puraane huwe

(rawaayaat=tradition, KHutoot=letter-writing, qaasid-o-naamabar=messenger,
kaGHaz-kalam=pen and paper, lek='lekin')

2.
na ho KHarch bhejne kaa to na kaam sochne kaa
yooN paiGHaam-e-maashook ke daam aaTH-aane huwe

(paiGHaam=message, maashook=admirer, aaTH-aane=eight annas, very-cheap.)

3.
na gaye unke dar par aur naa lahuu nahaaye
huwe mashware haalaaNke muKHtalif THikaane huwe

(mashware=consultations, muKHtalif=different, THikaane=locations)

4.
huwaa bin-safar ke guftaar kaa intezaam par
apne aashiyaaN isliye apne qayd-KHaane huwe

(bin-safar=without journey, guftaar=conversation, qayd-khaane=jailhouse)

5.
GHam kyoN 'shaahid' tareeqaa-e-suKHan ke miTne kaa
DHang zamaane kaa apnaate, fizool deewaane huwe

(tareeqaa=method, suKHan=poetry)

9&10

1.
koshish jo kaamyaabi ki buniyaad ho
to GHar meraa kabkaa aabaad ho

(buniyaad=foundation)

2.
honhaar ho taalib-e-ilm to kyaa
naam howe jo maqbool ustaad ho

(taalib-e-ilm=student, maqbool=famous)

3.
aam raay pe kare teraa deen asar
yooN dekheN tujhe jaise jallaad ho

(deen=religion/upbringing, asar=impact, jallaad=executioner)

4.
na jalaal, na girah meiN maal
kyoN chaand-chehroN ko meri yaad ho

(jalaal=good looks, girah=waist-purse)

5.
na raKH gilaa kisi se ke 'shaahid'
ba-daulat tere kuCHCH fasaad ho

(gilaa=complaint, fasaad=riot)

-------------'Jawaab'----------------

1.
kaamyaabi ki buniyaad koshish hai
naakaam daur to aazmaaish hai

(maakaam=unsuccesful, daur=period, aazmaaish=testing times)

2.
reh dilchasp maahireeN se milne
aham baDi inki sifaarish hai

(maahir=expert, sifaarish=recommendation)

3.
tuu deen kaa akelaa rahnumaa naheeN
inki duniyaa-bhar meiN jumbish hai

(rahnumaa=representative, jumbish=movement)

4.
chaand-chehre tuu jald bhuulegaa
ishq to laDakpan ki KHwaahish hai

5.
sabse gilaa 'shaahid' ko yooN ke
use miTaane ki yaaN saazish hai

(saazish=conspiracy)

11

1.
the GHareeb jab ki jo yaad taazaa naheeN
so afraat meiN hisaab ka taqaazaa naheeN

(GHareeb=poor, afraat=extravagance, taqaazaa=constraint)

2.
hai sarmaayaa hee maal kaa mufeed istamaal
aabaad baazaar ka band darwaazaa naheeN

(sarmaayaa=investment, mufeed=appropriate, istamaal=use)

3.
wazan zar kaa jahaaN mein barqaraar par
jayadaad meN izaafe kaa kuCHCH andaazaa naheeN

(zar=gold, barqaraar=constant, jayadaad=moneyed-property,
izaafaa=increase, andaazaa=approximation)

4.
naseeb meiN miltee hai daulat sab alag-alag
ho sabkaa ek jaisaa yeh janaazaa naheeN

(janaazaa=funeral-bier)

5.
paDH lo baareekee se 'shaahid' tareekh ko
jang naheeN jab iqtisaadi tanaazaa naheeN

(bareekee se=finely, tareekh=history, jang=war, iqtisaadi=economic,
tanaazaa=tension)

12

1.
qalandaroN ne jab ijaaz kiyaa
aalimoN ne us pe naaz kiyaa

(qalandar=mendicant,faith-healer ,ijaaz=miracle, aalim=learned one,
naaz=pride)

2.
aqlmand hue naheeN mukhaalif
to ahmaqoN ne mumtaaz kiyaa

(mukhaalif=in opposition, ahmaq=fool, mumtaaz=prominent)

3.
maSHSHgale aur rahe hoNge
jo adab se nazar-andaaz kiyaa

(maSHSHgale=matters/issues, nazar-andaaz=ignore)

4.
feham ne khaayaa fareb bhale
karaamaat pe na aitraaz kiyaa

(feham=wisdom/intellect, fareb=cheat-crime, karaamaat=miracle,
aitraaz=objection)

5.
jaanoge 'shaahid' ranj cheez kyaa
jo shaatiroN ko hai naraaz kiyaa

(ranj=vendetta, shaatir=scheming, naaraaz=sad)

13

1.
kis tarah unkee tareef kee jaaye
jinheN deKHke jaaN niklee jaaye

(tareef=praise)

2.
ho bas shubaa woh haiN kaheeN
waaN se guzarne ki tasallee jaaye

(shubaa=suspicion, waaN=`wahaaN', tasallee=confidence)

3.

raah meN mileN to salaam to door
nazar pher leN jaise ajnabee jaaye

(raah=road, pher=separate)

4.
unke hamsaaye hue kaee yaar apne
jinse milne par kadam nahee jaaye

(hamsaaye=neighbours)

5.
'shaahid' to hai qaabil sirf likhne ke
kyaa jurrat use ki baat kahee jaaye

(qaabil=capable, jurrat=daring)

14

1.
jab ijtihaad naa howe to rab-parastee kab howe
deen ke ikhlaas kaa sabab zabardastee kab howe

(ijtihaad=rationalising, rab-parastee=monotheism,
deen=religion, ikhlaas=sincereity, sabab=basis, zabardastee=force)

2.
kehne ko hai insaaN khalq kaa ek hissa mehez
yaqtaa choonke aur ko ehsaas-e-hastee kab howe

(khalq=creation, mehez=only, yaqtaa=unique, ehsaas=feeling,
hastee=existence)

3.
harchand gar fizaa raKHtee apne pe iKHtiyaar
muqaabil apne feham iskee yooN sastee kab howe

(harchand=every moment, fizaa=nature/environment, iKHtiyaar=control,
muqaabil=in comparison, feham=intellect, sastee=cheap)

4.
jo meezaan-e-insaaf meN yaaN na dilchaspi rahee
aisi naakaam qaum jannat ko tarastee kab howe

(meezaan-e-insaaf=balance of justice, yaaN='yahaaN'/here,
dilchaspi=interest, qaum=community, jannat=heaven, tarastee=longing for)

5.
roohaani masaail pe naa liKH kuCHCH ke 'shaahid'
ahl-e-dahar ko in ashaar meN sar-mastee kab howe

(roohaani=spiritual, masaail=issues/matters, ahl-e-dahar=people of the times,
ashaar=plural of 'sher', sar-mastee=pleasure)

15

1.
asar woh nazar ke teeroN meN
ke JHalke unki tasveeroN meN

2.
hai husn naseeb kisi ek ko
hai tabaahee kai taqdeeroN meN

(tabaahee=destruction, taqdeer=fate)

3.
aswad-chehroN ko hasrat unkee
jo dhulte hoN joo-e-sheeroN meN

(aswad=dark-tone, hasrat=desire, joo-e-sheer=lit. 'rivers of milk')

4.
hai hangaamaa kyoN fakeeroN meN
jab pasand unkee ameeroN meN

(khalbali=mischief, fakeer=indigent, pasand=choice, ameer=rich)

5.
'shaahid' tuu but-parast darje kaa
duubaa hai but ke tasveeroN meN

(but-parast=idolator, darje kaa=of high degree, but=idol)

Saturday, July 01, 2006

16

1.
yaqeenan hai insaaN kee harkat rozgaar ke liye
hasrat hai magar uskee kuCHCH waqaar ke liye

(yaqeenen=undoubtedly, harkat=action, rozgaar=daily bread, hasrat=desire,
waqaar=honor/dignity)

2.

kehteN haiN ik GHurbat ko miTaa deN to bas
matlab ke jiyeN bhee to jiyeN bekaar ke liye

(GHurbat=wretchedness/poverty, bekaar=unnecessarily)

3.

shahroN meN kahaaN nazaaraa jaat-paat kaa
manzar to dehaat kaa iske deedaar ke liye

(nazaaraa=spectacle, manzar=location/scenario, deedaar=sighting)

4.

jis taraqqee meN hissaa na zaif-o-zaar ke liye
hai faiz usmeN ahl-e-KHooNKHwaar ke liye

(taraqqee=progress, hissaa=portion, zaif-o-zaar=weak, faiz=profit,
ahl-e-KHooNKHwaar=bloodthirsty folks)

5.

par sitam guzraa kab hai 'shaahid' tum pe
yooN ke tajurbaa zaroori aitabaar ke liye

(sitam=oppression, tajurbaa=experience, aitabaar=trust)

17

1.

yooN fauran unheN bhool jaaeN jaane kaise
ke har moD pe woh nazar aayeN jaane kaise

(fauran=immediately)

2.

pehle karo tahqeeq KuCHCH lagaav hai bhee
jo GHaafil dard se woh shifaaeN jaane kaise

(tehqeeq=enquiry, lagaav=attachment, GHaafil=ignorant, shifaaeN=remedies)

3.

khalq-ur-rabb ki mumtaaz misaal jaan kar
dee us qashqaa-jabeeN ko duaaeN jaane kaise

(khalq-ur-rabb=creation of the Almighty, mumtaaz=exemplary, misaal=instance, qashqaa-jabeeN=woman with 'Teekaa', duaaeN=blessings/prayers)

3.

diyaa buzdil qaraar aur guftagoo CHHoD dee
phir naa unse dostee kar paaye jaane kaise

(buzdil=coward, qaraar=categorization, guftagoo=conversation)

5.

diKHne tak unke hooN KHoob-suKHan 'shaahid'
diKHne pe unke boltee band ho jaaye jaane kaise

(KHoob-suKHan=consummate talker, like KHoob-soorat)

18

1.

KHayaaloN kaa lafzoN meN aanaa kab aasaaN rahaa
yak sher in lafzoN kaa banaanaa kab aasaaN rahaa

(jazbaat=emotion, lafzoN=words, yak=single)

2.

ek to mufeed lafz DHooNDne kaa hai kaam mushkil
aur to sabko maa'ne samjhaanaa kab aasaaN rahaa

(mufeed=appropriate, lafz=word, maa'ane=meanings)

3.

naamse unke husn-naamaa liKHnaa aasaaN hai magar
saamne unke ye ishq jataanaaa kab aasaaN rahaa

(husn-naamaa=chronicle of beauty, jataanaa=to assert)

4.

murawwat samjho apne kalaam pe daad samaeeN ki
karnaa naqsh koi dilkash taraanaa kab aasaaN rahaa

(murawwat=formality, kalam=writing/poetry, saamaeeN=audience, naqsh=write, dilkash=pleasing, taraanaa=poem)

5.

lagtaa hai rahooNgaa `shaahid' taa-umr gumnaam
ik shaayar kaa maSHhoor ho jaanaa kab aasaaN rahaa

(taa-umr=throughout life, gumnaam=anonymous, maSHhoor=famous)

19

1.

jinse nazar naa milaa paaoge
unheN palkoN pe kyaa sajaaoge

(palkoN=eyelashes)

2.

chalo woh GHair ke to naheeN
bhale KHud naa dil lagaaoge

(GHair=other)

3.

ho jinki nazaroN meN gire hue
raah unke nazareN biCHCHaaoge

4.

unki to kai zabaaN meN guftagoo
unke ham-suKHan kyaa ho jaaoge

(zabaaN=languages, guftagoo=conversation, ham-suKHan=equal partner in conversation)

5.

kitnee KHoobiyaaN 'shaahid' unkee
ab kitnoN ko tum gin paaoge

20

1.

takneek se hai is daur meN haasil kitnaa kuCHCH
un dinoN aalimoN ko naseeb thaa kahaaN kuCHCH

(takneek=technique/skill/technology, daur=era, haasil=achieve, aalim=learned/skilled, naseeb=fortune)

2.

woh daur kahaaN ke farzand-e-GHaalib ki ho maut
so alag lage GHaalib kaa andaaz-e-bayaaN kuCHCH

(farzand-e-GHaalib=son of GHaalib, andaaz-e-bayaaN='way of putting it')

3.

aadmee raftaar se sochtaa thaa ab pahunchtaa bhee
tabhee uuNCHee haraarat ki hai yeh fizaa kuCHCH

(raftaar=with speed, haraarat=temperature, fizaa=environment)

4.

kabhi farhaam kartee tavaanaaee yeh hawaa kuCHCH
kabhi paiGHaam ki bane savaaree yeh samaa kuCHCH

(farhaam=supply, tavaanaaee=energy/power)

5.

magar 'shaahid' takneek-waale to haiN ilzaam lagaate
DHooNDne pe na milte hathiyaar ke nishaaN kuCHCH

21

1.

unke zikr pe muskuraao kyoN
wajah koi aur bataao kyoN

(zikr=mention)

2.

warnaa chalo to seenaa taanke
woh diKHeN to laDKHaDaao kyoN

3.

abhi the taalluq se Dare hue
abhi ho mehsoos lagaav kyoN

(taalluq=contact)

4.

unke dostoN se darKHwaast kyaa
unke dostoN ko beech laao kyoN

(darKHwaast=request)

5.

maafi maaNg hee letaa ke 'shaahid'
meree niyyat ko tum dabaao kyoN

(niyyat=intention)