Sunday, May 20, 2007

37. kisi ko na BHaayeN to kyaa keeje

1.

kisi ko na BHaayeN to kyaa keeje
zaroorat nahi yeh GHumaaN keeje

(BHaayeN=liked, GHumaaN=assumption/suspicion)

2.

pooCHe koi tum-me KHoobi hai kya
ehtejaaj us-se bass zaraa keeje

(ehtejaaj=protest)

3.

kisi ko gar pasand aap aayeN bhi
us-se kuCHH doori pe rahaa keeje

4.

ek husn hi pe tavajju hai aapkaa
ke haqaiq ko tasawwur kiya keeje

(husn=beauty, tavajju=attention, haqaiq=realities, tasawwur=comprehend)

5.

'shaahid' sabr aasaaN nahee magar
is aham KHoj pe waqt adaa keeje

(aham=important, waqt=time)

0 Comments:

Post a Comment

<< Home