Saturday, September 23, 2006

33. huwaa ehsaas ishq kaa tark hone ke baad

1.

huwaa ehsaas ishq kaa tark hone ke baad
fiqr nadaamat kaa sar-e-aam rone ke baad

(tark=rejection, nadaamat=dignity, sar-e-aam=in public)

2.

jab soCHta hooN itnaa bhee kyoN hai lagaav
soCH thame hai maano jaadu-Tone ke baad

(lagaav=attachment, jaadu-Tonaa=spell of magic)

3.

dafaatir meN uska deedaar kisko hai naseeb
woh lagtaa hai kaam par sabke sone ke baad

(dafaatir=offices, deedaar=sighting)

4.

dono ka naheeN libaas ahl-e-daur ka par lage
woh hoor to maiN mazdoor boJH DHone ke baad

(libaas=dress, ahl-e-dahar=`people of the times', Gul=flower/rose,
mazdoor=labourer, boJH=load, DHonaa=bear)

5.

'shaahid' itwaar ka intezaar rahtaa hai mujhe
guzartaa hai woh saamne se zulf dhone ke baad

(itwaar=Sunday, zulf=tresses)

Sunday, September 17, 2006

32. yaarab meraa maqbool ho paanaa, uskaa kyaa

1.

yaarab meraa maqbool ho paanaa, uskaa kyaa
meraa duaa maaNgte giDgiDaanaa, uskaa kyaa

(yaarab='O God Almighty', maqbool=accepted/famous, giDgiDaanaa=grovel/plead)

2.

kyaa aasaaN hai CHuniNdoN ka imtiyaaz honaa
meraa woh raat kaa din banaanaa, uskaa kyaa

(CHuniNdoN=selected few, imtiyaaz=honour)

3.

ab ittilaa do mujhe ke GHaltee huee nahee
BHar diya jurmaane pe jurmaana, uskaa kyaa

(ittilaa=news/information, GHaltee=mistake, jurmaanaa=penalty)

4.

hotee hoN nigaaheN uskee kuCHH KHauff-zaada
meraa darnaa nahee to aazmaanaa uskaa kyaa

(KHauff-zaad=fearful/frightening, aazmaanaa=experimenting)

5.

'shaahid' sabkaa hai sabse ittefaaq-e-raye
maiN bana taNqeed kaa niSHaana, uskaa kyaa

(ittefaaq-e-raye=consensus/agreement/synchrony, taNqeed=criticism/disagreement)

Sunday, September 10, 2006

31. do maah-qabl jo kehtaa thaa pyaar hai

1.

do maah-qabl jo kehtaa thaa pyaar hai
gird se kyaa, ilaaqe se faraar hai

(do=two, maah-qabl='months back', gird=sorroundings, ilaaqaa=region, faraar=absent/absconding)

2.

dar-asal hai dard seene meN jiske
kahtaa hai payT kaa aazaar hai

(payT=stomach, aazaar=disease/pain)

3.

bhoole se GHam ki wajah na bol de
isliye harchand KHabardaar hai

(bhoole se=by mistake, harchand=every moment, KHabardaar=cautious)

4.

kehtaa hai dil de-de ke thak CHukaa
bas aur nahee, ye aaNKHree baar hai

5.

'shaahid' aisoN ko salaah dooN to kyaa
aisoN ko samJHaanaa hee bekaar hai

Saturday, September 02, 2006

30. adl ke haqqdaar maanaa haiN KHawaateen

1.

adl ke haqqdaar maanaa haiN KHawaateen
mere hasad ka nishaana haiN KHawaateen

(adl=justice/fairness, haqqdaar=deserving, KHawaateen=women, hasad=envy, nishaanaa=target)

2.

baTtee ho viraasateN mutaabiq-e-shar'a
lage kyoN zayd-paimaana haiN KHawaateen

(viraasateN=legacies, mutaabiq-e-shar'a=`according to rules', zayd-paimaana=larger share)

3.

hai takneek is daur ke arsh-o-taKHt par
na hee mard haiN aur na haiN KHawaateen

(takneek=method/technology, arsh-o-taKHt=throne/pinnacle, mard=men)

4.

talab-e-duKHtar jab ilm-o-fan waaloN ko
hairat kise hai ke daana haiN KHawaateen

(talab-e-duKHtar=urge to have a daughter, ilm-o-fan=education/talent, hairat=surprise, daana=intelligent/wise)

5.

maiN to niklaa 'shaahid' ta'su darje ka
aaKHir mere ahl-e-KHaana haiN KHawaateen

(ta'su=rhetorical, darje ka=of high degree, ahl-e-KHana='people of the house'/family members)