Wednesday, August 23, 2006

29. kya hai taalluq kisi ahl-e-taKHt se ?

1.

kya hai taalluq kisi ahl-e-taKHt se ?
jo kare hai sitam mujh par saKHt se

(taalluq=relation, ahl-e-taKHt=royal family, sitam=cruelties, saKHt=severe)

2.

nazar aaye to lahar dauDe ragoN meN
zikr ho to Tapke hai lahuu laKHt se

(lahar=excitement, ragoN=veins, lahuu=blood, laKHt='every anatomical element')

3.

bhale ho juDaa pattaa koi SHaaKH se
hai faariq agar judaa ho daraKHt se

(juDaa=joined, SHaaKH=branch of a tree, faariq=separated/dismissed, daraKHt=tree)

4.

maal-o-jamaal-o-ilm apne meN naheeN
kyoN mutassir ho koi meree raKHt se

(maal-o-jamaal-o-ilm=riches-comeliness-accomplishment, mutassir=affected/inspired, raKHt=actually 'reKHt', poetry)

5.

'shaahid' isko nahee jurrat-e-guftaar
tabhi hooN KHafaa dil-e-kambaKHt se

(jurrat-e-guftaar=guts to speak up, KHafaa=disappointed, dil-e-kambaKHt=wretched heart)

Sunday, August 13, 2006

28. jinse hameN toofaaN milaaye

1.

jinse hameN toofaaN milaaye
unse haalaat kahaaN milaaye

(toofaaN=storm, haalaat=circumstances)

2.

kaho aise ko hamsuKHan kyaa
jo bas haaN me haaN milaaye

(hamsuKHan=an equal in conversation)

3.

parwar baDee jald dasht meN
meraa naamo-niSHaaN milaaye

(parwar=God Almighty, jald=early, dasht=dust, naamo-nishaaN=signs and symbols)

4.

zahr milaane waale tak sochte
kya hijr ke dauraaN milaayeN ?

(zahr=poison, hijr=separation, dauraaN=during)

5.

mujhko shaahid ahle-bayt se
aksar mere mehmaaN milaayeN

(ahle-bayt=people of the house, relatives, aksar=frequently, mehmaaN=guests)

Sunday, August 06, 2006

27. kuCHCH karo ke yaad unkee naa KHone paaye

1.

kuCHCH karo ke yaad unkee naa KHone paaye
apne meN yeh saboot wafaa ke uNhone paaye

(saboot=proof, wafaa=loyalty)

2.

yooN raho unse milne ko harchand beqaraar
bhale wisaal unkee harGHiz naa hone paaye

(harchand=every moment, wisaal=meeting/sighting, harGHiz=ever)

3.

haalaat se in dinoN woh lagteN hoN KHafaa
haalaat badleN ke chayn se ham sone paayeN

(chayn=peace)

4.

unheN ik KHoobsoorat kehne meN baat kahaaN
asl KHoobiyaaN jab zikr-e-hunar hone paaye

(asl=actual, KHoobiyaaN=properties, zikr=mention, hunar=talents)

5.

'shaahid' woh dupaTTa pehne hai aage ki aur
jo agar lehraaye to sukooN kitnoN ne paaye

(lehraaye=billows, sukooN=comfort)